ghunghrale baal
uske ghunghrale balon mein
anguliyan ferte hue
mujhe apni kaid ka ahsaas hua
uski aankhon mein jhankar
mujhe uski bebasi ka ahsaas hua
hum ek doosre se kya mangte
ek ke paas kaid thi
doosre ke paas bebaasi
magar kabhi to koi khayaal aaye
ki hum dono bebas hokar kaid ho jaye