March 24, 2008
khurduri hatheli
bheed ki nirankushta ne daba di hai
jiski hansi masoomi aur aankhon ki chamak
khurduri sadak par khurduri hatheli failaye
hamse kya maang raha hai
dekho uske haathon ki lakeeron ko
usmein koi rahasya nahi hai
bhavishya ki koi kalpana nahi hai
dekho uski aankho mein
wahan swapn nahi hain
ghoda pariyon aur shahzadon ke
lekin usey dekhne ke liye bheed se alag ho jao
hamara ansh hai wo hameen se janma hai
bas apne kuchh pal mangne aaya hai
uski hatheli par ek aansoon tapka do
wo narm ho jayegi
usey aakaash mein ek tara to dikha do
uski ankhon mein chamak aa jayegi
uskey haathon par mat rakho ek thanda sikka
agar kuchh rakhna hai to apna garam haath rakho
Filed by sumedha at 2:16 pm under Uncategorized
1 Comment
